Translate
Tuesday, April 2, 2013
Dil-e-Dard ...!
Sapna ek lekin mushkile hazar hai,
Tanhayi aur gum to mere bachpanke yaar hai,
Ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hai,
kyunki is zindagi me hume sirf bewafao se pyaar hai…
Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya…
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe
Humari Tanhayion Se Ankh Churate Rahe
Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki
Hum Har Dard Muskura Kar Chipate Rahe…
Mat Puchho Mere Dil Ka Haal
Aapke Dil Bhi Bikhar Jayenge
Is Liye Nahi Sunate Apne Dil Ka Dard Kisi Ko
Ye Sunke To Tanhai Ke Bhi Aansu Nikal Aayenge…
Who aate to hain magar tan se nahi
who bhethe to hain magar man se nahi
kaun kehta hai ki who pyaar nahi karte
karte to hain magar humse nahi…
Din Me Deepak Jalane Se Kya Hoga ,
Raakh Me Aag Lagane Se Kya Hoga,
Jab Aapko Aati Hi Nahi Hamari Yaad,
Toh Phir Yaad Dilane Se Kya Hoga?
@Deep
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment