
Hamen ab ye jeena gawaara nahin hai ...,
Ke duniya mein koi hamaara nahin hai ...!
Bahut unko chaaha ke apna banaayen ...,
Muqadaar ko lekin gawaara nahin hai ...!!
Muhabbat mein aisa koi din na guzra ...,
Jise hamne ro kar guzaara nahin hai ..,!
Hamen ab ye jeena gawaara nahin hai ...,
Ke duniya mein koi hamaara nahin hai ...!!
Na kyun jaan de de wo qismat ka maara ...,
Zamaane mein jiska sahaara nahin hai ...!
Hamen ab ye jeena gawaara nahin hai ...,
Ke duniya mein koi hamaara nahin hai ...!!!
@deep
No comments:
Post a Comment